Kaise Ek Tik Tok App Bani 75 Billion Dollors Ki???
Hello dosto aj mai aapko batane wala hu ki ek sadharan app jiska aap ne naam to suna hi hoga Tik Tok to ye app 75 Million Dollers ki kaise bani to iski puri jankari mai aapko batane wala hu agar aap bhi tik tok lover ho to jarur se is post ko pura padhna or jarur se jyada se jyada share karna tik tok ye puri kahani sabhi logo tak pohche or sabhi ko pata chale.
Dosto is app ke piche bohot accha intresting fact hai or hame isse sikhne ko bhi milega. To dosto 2014 mai 2 dost Alex Zhu or Luyu Yang dono ne ek educational app banane ki sochi or esi educational aap se survat hui or us samai mai jo education tha vo bohot hi lamba tha to unhone socha ki short mai yani 3-5 minutes ke video mai education diya jaye is liye dono ne 2.5 Lakh Dollor Invest karke apni team ke sath 6month work karke aap ko ready kiya or ye app jab market mai gaya to fail ho gaya or tab unhone ye samjha ki unki kaha pe mistakes hui hai or unko laga ki 3 se 5 minuteski educational video kafi nahi or logo ko jyada content chahiye or iske liye unko or investment ki jarurat thi lekin ab unke pass paise nahi the leki Alex ne abhi bhi har nahi mani thi or ek din vo tarin se ja rahe the tab unhone observe kiya ki
Log gane sun rahe hai sathisath selfi click kar rahi hai or funny videos bhi shoot kar rahai hai tabhi unko ek idea aaya ki kyu na in sabhi ko milake ek aaisa aap banaya jaye jis se logo ka entertainment ho or ye kam unhai kam se kam samay mai ye app tayar honi chahiye or unke paas invest karne ke liye paise bhi nahi the to unhone ek app banayi or us ke under sabhi filter add kar diye or baki kam logo ke uper chod diya yani aap aapki video banao usmai filters add karo gane dalo taki sabhi ka entertainment ho or ye aap unhone 6 mahine ke ander tayar ki or 30 jully 2014 ko ye app launch kari Musical.ly.
Musical.ly app ab chal to rahi thi laekin trend nahi kar rahi thi to ab unko is app ko aage leke jana tha or unke pass paise bhi nahi the to ekdin unhone T.V pe dekha ki log lipsing kar rahe hai or background mai gana baj raha hai or is Feature mai hi unko unka Future Najar aaya or unhone unke esi feature ko promote karna chalu kar diya or ye lipsing ka feature logo ko pasand aaya log app ko jyada use karne lage apne social media par videos share karne lage lekin unka musical.ly ka logo crop ho jata tha to uspar bhi unhone sollution nikala or logo ko video ke ander fit kar diya ab log jab video share kar rahe the to unki branding ho rahi thi or app ki growth teji hone lagi or 2017 mai ye app itunes par top pe thi or rahegi.
Dosto is ab is app ki popularity itni bad gayi ki Nov-2017 mai chines company ByteDance ne is app ko 1 Billion Dollors mai kharid liya or ByteDance ek international company hai jo kayi product launch kar chuki hai or inhone 2016 mai china mai launch kiya tha Douyin app jo ki similar tha musically se or usi ko unhone international market mai naam diya Tik Tok.
Dosto is aap ke playstore pe 500million download hai to aap soch sakte hai ki isko kitna kharch aata hoga to ab aapke man mai or ek sawal hoga ki ye app paise kaise kama te hai?
Tik Tok Paise kaise Kamati Hai???
1.In App Purchase -Dosto jo log tik tok ko use karte hai unko bata ho ki tik tok mai ham ki ko bhi Coins purchase karke aapke ke favorite creators ko gift kar sakte ho to isse tik tok ko acchi khasi earning hoti hai.
2.Funding -
Dosto aapko mene bataya ki tik tok ke Millions users hai to is karan is aap ki value 2019 mai 75million dollors hai or aage or bhi badhegi to jis app ke pass jyada public hai us app ki funding jyada hoti hai jaise Facebook ne Whatsapp ko 19million Dollors mai kharida kyuki whatsapp ke 450 milloin users hai sathi sath wallmet ne flipkart ko kharida to is prakar jab company ke pass user base badta hai to us app ki ya fir website ki value market mai badh jati hai or esi prakar se aaj ek sadharn sa app 75million dollors ka ho gaya hai or aage kya pata kitne ka hoga.
3.Collabe -
Dosto callabe se bhi ye company paise kamati hai jaise tik tok par kisi piche aapko pata hoga Zero movie ke sath tik tok ne #Zerochallenge rakha tha to isse bhi company paisa kamati hai or bhi kayi tariko se compani paisa kamati hai.
To dosto app ne puri jankari padh li ki kis prakar Musically - Tik tok bana or kaise ye paise kamate hai lekin dosto bohot logo ko iska addiction bhi ho gaya hai likin hame sabhi chij try jarur karni chahiye lekin din bhar vahi leke nahi bethna chahiye to last mai yahi kahunga ki sab chije try karo lekin uska addiction mat lagao kyuki isse aapki life mai problems aa sakti hai dhyanavad.
0 Comments