Dosto Aap ne xiaomi ke bare mai to suna hi hoga or aaj mai aapko esi xiaomi ke kuch Intresting Fact ke bare mai batane wala hu jo ki aap mai se bohot hi kam log jante honge.
Intresting Facts
- Dosto aapko pata hi hoga ki xiaomi india mai best price ke liye jana jata hai lekin kya aapko pata hai jab xiaomi ka Mi 3 launch hua tha tab xiaomi ne 2sec ke ander 15000 mobiles sale kiye the or us wact ye sabse fact beche jane wala phone tha itna hi nahi 2014 mai xiaomi ne 1 din mai 2.1million phones beche yani 21Lakh or isko guinness world record mai bhi record kiya gaya or ye bohot hi kam log jante hai.
- Dosto kya aap ye jante hai ki xiaomi company par ek bohot hi bada aarop lagaya gaya tha ki xiaomi apne users ka data(call details,contact,user data) china ke servers par bechti hai or ye aarop F-Secure naam ke ek security company ne lagaya tha or ye sach bhi tha lekin xiaomi ne kaha ki vo un logo ka data bechte the jo log Mi Cloud ka use kar raha hota hai or ye baat bohot hi kam logo ko pata hai.
- Dosto Xiaomi ka naam or xiaomi ka logo aaj ke samay mai sabhi log janete hai lekin kya aapko pata hai ki Xiaomi ka matlab kya hai bohot logo ko ye nahi pata to basically Xiaomi word 2 words se bana hai ek hai xiao or dusra hai mi. Xiao ka matlab hai Little or mi ka matlab hai Rice yani Little Rice matlab ki ye ki kisi bhi badi chij ke bare mai sochne se pehle aapko choti chij ke bare mai sochna hai or ye meaning bohot hi kam lag jante hai.
- Dosto kya aap jante hai ki xiaomi ke jo founder hai Lei Jun inhe china mai Steve Joves Bhi kaha jata hai or yahi nahi Xiaomi ko china ka Apple phone bhi kaha jata hai or dosto ye company 2010 mai start hui hai or 2019 hai or is company ne 9 sal mai bohot hi tarakki ki hai or ye india ki no.1 pe hai.
To Dosto Ummid Hai Ki Aapko Ye Post Jarur Pasand Aayi Hogi Or Aapko Isse Kuch Sikhne Ko Mila Hoga Sath hi Sath Appko Xiaomi Se Jude Kuch Intersting Fact Bhi Pata Chal Gaye Honge To Dosto Jarur Se Is Post Ko Jyada Se Jyada Logo Tak Share Karo Or Aap Ko Ye Post Kaise Lagi Or Kya Aapko Ye Facts Pata The Ya Nahi Jarur Se Comments Mai Batana Or Aap Hamare Is Blog Ko Niche Scroll Karke Aap Subscribe Bhi Kar Sakte Hai Dhyanavad.
0 Comments